khud apne khoon mein pehle nahaaya jaata hai
vaqaar khud nahin banta banaya jaata hai
kabhi kabhi jo parinde bhi an-suna kar den
to haal dil ka shajar ko sunaaya jaata hai
hamaari pyaas ko zanjeer baandhi jaati hai
tumhaare vaaste dariya bahaaya jaata hai
nawaazta hai vo jab bhi azeezon ko apne
to sab se ba'ad mein ham ko bulaaya jaata hai
humeen talash ke dete hain raasta sab ko
humeen ko ba'ad mein raasta dikhaaya jaata hai
ख़ुद अपने ख़ून में पहले नहाया जाता है
वक़ार ख़ुद नहीं बनता बनाया जाता है
कभी कभी जो परिंदे भी अन-सुना कर दें
तो हाल दिल का शजर को सुनाया जाता है
हमारी प्यास को ज़ंजीर बाँधी जाती है
तुम्हारे वास्ते दरिया बहाया जाता है
नवाज़ता है वो जब भी अज़ीज़ों को अपने
तो सब से बा'द में हम को बुलाया जाता है
हमीं तलाश के देते हैं रास्ता सब को
हमीं को बा'द में रास्ता दिखाया जाता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Varun Anand
our suggestion based on Varun Anand
As you were reading Nadii Shayari Shayari