aansoon ko apni palkon par saja kar le gaya | आँसूओं को अपनी पलकों पर सजा कर ले गया

  - Vijendra Singh Parwaaz

aansoon ko apni palkon par saja kar le gaya
main bhi us mehfil mein kuchh shamaein jala kar le gaya

ek ek chehre se jo nazrein bacha kar le gaya
vo bhi kis andaaz ke jalwe chura kar le gaya

jism mera hai magar main jism mein hoon hi nahin
ek jhonka yaad ka aisa uda kar le gaya

aaine ke saamne ik aaina lagta hoon main
jaane waala meri soorat tak chura kar le gaya

mere dil mein jazb ho kar rah gaya tera vujood
tu jise haasil vo parchhaai utha kar le gaya

kuchh na poocho tum meri takh'eel ki parwaaz ko
bheed mein bhi bheed se daaman bacha kar le gaya

आँसूओं को अपनी पलकों पर सजा कर ले गया
मैं भी उस महफ़िल में कुछ शमएँ जला कर ले गया

एक एक चेहरे से जो नज़रें बचा कर ले गया
वो भी किस अंदाज़ के जल्वे चुरा कर ले गया

जिस्म मेरा है मगर मैं जिस्म में हूँ ही नहीं
एक झोंका याद का ऐसा उड़ा कर ले गया

आइने के सामने इक आइना लगता हूँ मैं
जाने वाला मेरी सूरत तक चुरा कर ले गया

मेरे दिल में जज़्ब हो कर रह गया तेरा वजूद
तू जिसे हासिल वो परछाई उठा कर ले गया

कुछ न पूछो तुम मिरी तख़्ईल की 'पर्वाज़' को
भीड़ में भी भीड़ से दामन बचा कर ले गया

  - Vijendra Singh Parwaaz

Promise Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vijendra Singh Parwaaz

As you were reading Shayari by Vijendra Singh Parwaaz

Similar Writers

our suggestion based on Vijendra Singh Parwaaz

Similar Moods

As you were reading Promise Shayari Shayari