dasht mein yaar ko pukaara jaaye | दश्त में यार को पुकारा जाए

  - Vikram Sharma

dasht mein yaar ko pukaara jaaye
qais sahab ka roop dhaara jaaye

mujh ko dar hai ki pinjra khulne par
ye parinda kahi na maara jaaye

dil use yaad kar sada mat de
kaun aata hai jab pukaara jaaye

dil ki tasveer ab mukammal ho
un ki jaanib se teer maara jaaye

laash maujon ko hukm deti hai
le chalo jis taraf kinaara jaaye

dil to hai hi nahin hamaara phir
toot jaaye to kya hamaara jaaye

ye tira kaam hai naye mehboob
doobte shakhs ko ubhaara jaaye

दश्त में यार को पुकारा जाए
क़ैस साहब का रूप धारा जाए

मुझ को डर है कि पिंजरा खुलने पर
ये परिंदा कहीं न मारा जाए

दिल उसे याद कर सदा मत दे
कौन आता है जब पुकारा जाए

दिल की तस्वीर अब मुकम्मल हो
उन की जानिब से तीर मारा जाए

लाश मौजों को हुक्म देती है
ले चलो जिस तरफ़ किनारा जाए

दिल तो है ही नहीं हमारा फिर
टूट जाए तो क्या हमारा जाए

ये तिरा काम है नए महबूब
डूबते शख़्स को उभारा जाए

  - Vikram Sharma

Romantic Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vikram Sharma

As you were reading Shayari by Vikram Sharma

Similar Writers

our suggestion based on Vikram Sharma

Similar Moods

As you were reading Romantic Shayari Shayari