jin se uthata nahin kali ka bojh
un ke kandon pe zindagi ka bojh
waqt jab haath mein nahin rehta
kis liye haath par ghadi ka bojh
byah ke waqt ki koi photo
gehnon ke bojh par hasi ka bojh
sar pe yaadon ki tokri rakh li
kam na hone diya kami ka bojh
minnaten kyun kare khuda se ab
aadmi baante aadmi ka bojh
zabt ka baandh toot jaane do
kam karo aankh se nami ka bojh
hijr tha ek hi ghadi ka par
dil se utara na us ghadi ka bojh
ham ko aise khuda qubool nahin
jin se uthata nahin khudi ka bojh
जिन से उठता नहीं कली का बोझ
उन के कंधों पे ज़िंदगी का बोझ
वक़्त जब हाथ में नहीं रहता
किस लिए हाथ पर घड़ी का बोझ
ब्याह के वक़्त की कोई फोटो
गहनों के बोझ पर हँसी का बोझ
सर पे यादों की टोकरी रख ली
कम न होने दिया कमी का बोझ
मिन्नतें क्यों करे ख़ुदा से अब
आदमी बाँटे आदमी का बोझ
ज़ब्त का बाँध टूट जाने दो
कम करो आँख से नमी का बोझ
हिज्र था एक ही घड़ी का पर
दिल से उतरा न उस घड़ी का बोझ
हम को ऐसे ख़ुदा क़ुबूल नहीं
जिन से उठता नहीं ख़ुदी का बोझ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vikram Sharma
our suggestion based on Vikram Sharma
As you were reading Khuda Shayari Shayari