mashwara hai ye behtari ke liye
ham bichhad jaate hain abhi ke liye
pyaas le jaati hai nadi ki taraf
koi jaata nahin nadi ke liye
zindagi ki main kar raha tha class
bas register mein haaziri ke liye
aap deewaar kah rahe hain jise
raasta hai vo chipkali ke liye
qais ne meri pairavi ki hai
dasht-o-sehra mein naukri ke liye
neel se pehle chaand par maujood
ek budhiya thi mukhbirii ke liye
मशवरा है ये बेहतरी के लिए
हम बिछड़ जाते हैं अभी के लिए
प्यास ले जाती है नदी की तरफ़
कोई जाता नहीं नदी के लिए
ज़िंदगी की मैं कर रहा था क्लास
बस रजिस्टर में हाज़िरी के लिए
आप दीवार कह रहे हैं जिसे
रास्ता है वो छिपकली के लिए
क़ैस ने मेरी पैरवी की है
दश्त-ओ-सहरा में नौकरी के लिए
नील से पहले चाँद पर मौजूद
एक बुढ़िया थी मुख़बिरी के लिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vikram Sharma
our suggestion based on Vikram Sharma
As you were reading Hijrat Shayari Shayari