kaun nikle ghar se baahar raat mein
so gaye ham apne andar raat mein
phir se milne aa gaeein tanhaaiyaan
kyun nahin khulte hain daftar raat mein
ham juta lete hain bistar to magar
roz kam padti hai chadar raat mein
roz hi vo ek ladki subh si
jaati hai ham ko jaga kar raat mein
khwaab dekha hai isee ka raat bhar
soye the jis ko bhula kar raat mein
zindagi bhar ki kamaai ek raat
jo mili khud ko ganwa kar raat mein
saanp do aate hain ham ko kaatne
us ki yaadein aur ye ghar raat mein
zindagi ki raat ik din khatm ho
ye dua karte hain akshar raat mein
कौन निकले घर से बाहर रात में
सो गए हम अपने अंदर रात में
फिर से मिलने आ गईं तन्हाइयाँ
क्यों नहीं खुलते हैं दफ़्तर रात में
हम जुटा लेते हैं बिस्तर तो मगर
रोज़ कम पड़ती है चादर रात में
रोज़ ही वो एक लड़की सुब्ह सी
जाती है हम को जगा कर रात में
ख़्वाब देखा है इसी का रात भर
सोए थे जिस को भुला कर रात में
ज़िंदगी भर की कमाई एक रात
जो मिली ख़ुद को गँवा कर रात में
साँप दो आते हैं हम को काटने
उस की यादें और ये घर रात में
ज़िंदगी की रात इक दिन ख़त्म हो
ये दुआ करते हैं अक्सर रात में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vikram Sharma
our suggestion based on Vikram Sharma
As you were reading Neend Shayari Shayari