rakhen hain sehra jo itne to jheel bhi rakho | रखें हैं सहरा जो इतने तो झील भी रक्खो

  - Vineet Aashna

rakhen hain sehra jo itne to jheel bhi rakho
kabhi visaal ko thoda taveel bhi rakho

use kaho koi tasveer bhej de apni
jo jee rahe ho to koi daleel bhi rakho

na jaane kaun se ashaar kis ko chubh jaayen
jo sacche she'r hain kehne wakeel bhi rakho

tumhein bhi chahiye izzat agar zamaane se
to apne aap ko thoda zaleel bhi rakho

tamaam logon ki sargarmiyon ka mausam hai
junoon ke shehar mein koi sabeel bhi rakho

utaar kar ye udaasi kabhi to taang sako
kisi diwaal pe ik aisi keel bhi rakho

bade maze ki sawaari hai dil ka ye tattu
lagaam kas ke rakho aur dheel bhi rakho

ghamon ki sohbaten achhi na faasle achhe
inhen hisaar mein rakho faseel bhi rakho

रखें हैं सहरा जो इतने तो झील भी रक्खो
कभी विसाल को थोड़ा तवील भी रक्खो

उसे कहो कोई तस्वीर भेज दे अपनी
जो जी रहे हो तो कोई दलील भी रक्खो

न जाने कौन से अशआ'र किस को चुभ जाएँ
जो सच्चे शे'र हैं कहने वकील भी रक्खो

तुम्हें भी चाहिए इज़्ज़त अगर ज़माने से
तो अपने आप को थोड़ा ज़लील भी रक्खो

तमाम लोगों की सरगर्मीयों का मौसम है
जुनूँ के शहर में कोई सबील भी रखो

उतार कर ये उदासी कभी तो टाँग सको
किसी दिवाल पे इक ऐसी कील भी रक्खो

बड़े मज़े की सवारी है दिल का ये टट्टू
लगाम कस के रखो और ढील भी रक्खो

ग़मों की सोहबतें अच्छी न फ़ासले अच्छे
इन्हें हिसार में रक्खो फ़सील भी रक्खो

  - Vineet Aashna

Diwangi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vineet Aashna

As you were reading Shayari by Vineet Aashna

Similar Writers

our suggestion based on Vineet Aashna

Similar Moods

As you were reading Diwangi Shayari Shayari