qusoor kya hai jo ham se khataayein hoti hain
huzoor aap ki qaateel adaayein hoti hain
barsna aata nahin un ko hai yahi rona
falak pe roz hi kaali ghataaein hoti hain
gunaah-e-ishq to aankhon ka mashghala thehra
ye kya sitam hai ki dil ko sazaayein hoti hain
zara si ot agar le sako to achha hai
diye ki taak mein shaatir hawaaein hoti hain
hamaare paas bhala kya hai aur dene ko
tumhaare vaaste dil mein duaaein hoti hain
tujhe bhi saikron sammaan mil gaye hote
akela tujh se kahaan iltijaaein hoti hain
क़ुसूर क्या है जो हम से ख़ताएँ होती हैं
हुज़ूर आप की क़ातिल अदाएँ होती हैं
बरसना आता नहीं उन को है यही रोना
फ़लक पे रोज़ ही काली घटाएँ होती हैं
गुनाह-ए-इश्क़ तो आँखों का मश्ग़ला ठहरा
ये क्या सितम है कि दिल को सज़ाएँ होती हैं
ज़रा सी ओट अगर ले सको तो अच्छा है
दिए की ताक में शातिर हवाएँ होती हैं
हमारे पास भला क्या है और देने को
तुम्हारे वास्ते दिल में दुआएँ होती हैं
तुझे भी सैकड़ों सम्मान मिल गए होते
‘अकेला’ तुझ से कहाँ इल्तिजाएँ होती हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Virendra Khare Akela
our suggestion based on Virendra Khare Akela
As you were reading Tanhai Shayari Shayari