shaam dhale main ghar raushan bhi karta tha | शाम ढले मैं घर रौशन भी करता था - Vishal Bagh

shaam dhale main ghar raushan bhi karta tha
kitna kuch to main beman bhi karta tha

duniya mujhse sirf mohabbat karti hai
vo deewaana paagalpan bhi karta tha

tum jo kahte the na ik din choo loge
choo lete na mera man bhi karta tha

mere sirhaane vo ghunghroo gumsum hai
uske pairo'n mein chhanchhan bhi karta tha

uske haathon mein bas hum hi janchte the
daava sone ka kangan bhi karta tha

शाम ढले मैं घर रौशन भी करता था
कितना कुछ तो मैं बेमन भी करता था

दुनिया मुझसे सिर्फ़ मोहब्बत करती है
वो दीवाना पागलपन भी करता था

तुम जो कहते थे ना इक दिन छू लोगे
छू लेते ना मेरा मन भी करता था

मेरे सिरहाने वो घुँघरू गुमसुम है
उसके पैरों में छनछन भी करता था

उसके हाथों में बस हम ही जँचते थे
दावा सोने का कंगन भी करता था

- Vishal Bagh
13 Likes

Ujaala Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vishal Bagh

As you were reading Shayari by Vishal Bagh

Similar Writers

our suggestion based on Vishal Bagh

Similar Moods

As you were reading Ujaala Shayari Shayari