zaeefi ki shikan-aalood chadar se badan dhaanpe
vo apni naujavaan poti ke saath
aahista aahista
sadak ke ek jaanib chal raha tha
gumaan hota tha
jaise dhoop ke kaandhe pe
chaanv haath rakhe chal rahi hai
cheekhti adiyon par karkaraati haddiyaan gaade hue
vo jism ka malba uthaaye ja raha tha
agarche paanv jumbish kar rahe the
magar boodhi kamar itni khameeda thi
ki taangein jhoolti baisaakhiyaan maaloom hoti theen
achaanak ek jeep aa kar ruki
ladke ne sheeshe ko utaara aur dekha
phool patli shaakh se latka hua tha
khazana ghaar mein tha
aur dahaane par faqat makdi ka jaalaa tha
hiran pinjare mein tha
aur us ke darwaaze par jang-aalood taalaa tha
vo bhooke sher ki maanind lapka
aur us ladki ki
neeli kaanch mein lipti kalaaee par shikanja kas diya
boodhe ne kandha chhod kar apni kamar par haath rakhe
apni aankhon ko nazar di
aur apne paanv par taangein laga leen
badan saalon ki deemak ki
musalsal kaar-farmaai se dhal jaate hain
lekin ghairatein boodhi nahin hoti
na jaane vo hawa ka tez jhonka tha
ya boodhe paanv ke halke tawazun ki dhilaai thi
phir ladke ke haathon ki daraazi thi
ki vo boodha
badi hi bebaasi ke saath neeche gir gaya
aur us ke dhalke jism ne
kaali sadak ke saath takraate hi ik awaaz di
pachaasi saal neeche gir gaye the
kabhi jab zalzala aaye
to us ki jurjhuri si mukhtalif umron ke ghar
girte hain aur awaaz dete hain
naye seement mein lipti nam-imaarat gir pade
to gad-gadaahat phail jaati hai
plaza munhadim ho jaaye to us ke dhamaake mein
musalsal charchadaahat
saath deti hai
magar koi haveli gir pade
jis ke dar o deewaar par
kaai andhera goodh ke apni hari poron se malti hai
to us mein sadiyaan bolti hain
aur guzri saaton ki kaanpati khaamoshiyaan awaaz deti hain
jab us ne haath se dharti daba ke
kohniyon ki aazmaish ki
ki shaayad is tarah vo uth sake
to sirf apne sar ko gardan ka sahaara de saka
baalon ki lambi ek lat
maathe pe mutwaazi khudi shiknon mein
chhup kar kaanpati thi
aur kuchh baalon ko taaza chot rangeen kar gai thi
tahayyur bebaasi ke saath
aankhon ki nami mein jazb ho kar
aahani chashme ke
sheeshon mein larzata tha
khule honton mein daanton ke shigaafon ko
zabaan paivand karti thi
dehan ke nam kinaare
kaan ke bun
surkh rukhsaaron ke bal
chaah-e-zaqqan ke munh se latke
tah-b-tah gardan ke silvat
aur un mein dolte paani ke qatre
sab ke sab hilte the
bas raftaar mein ik doosre se mukhtalif the
haveli gir gai thi
unnaabi gard ne deewaar o dar gehna diye the
faseelen surmai taalaab ke andar giri theen
haram darwaaza paai baagh mein aundha pada tha
aur us ki keel mein uljha hua
baarik parda hil raha tha
ज़ईफ़ी की शिकन-आलूद चादर से बदन ढाँपे
वो अपनी नौजवाँ पोती के साथ
आहिस्ता आहिस्ता
सड़क के एक जानिब चल रहा था
गुमाँ होता था
जैसे धूप के काँधे पे
छाँव हाथ रक्खे चल रही है
चीख़ती एड़ियों पर कड़कड़ाती हड्डियाँ गाड़े हुए
वो जिस्म का मलबा उठाए जा रहा था
अगरचे पाँव जुम्बिश कर रहे थे
मगर बूढ़ी कमर इतनी ख़मीदा थी
कि टाँगें झूलती बैसाखियाँ मालूम होती थीं
अचानक एक जीप आ कर रुकी
लड़के ने शीशे को उतारा और देखा
फूल पतली शाख़ से लटका हुआ था
ख़ज़ाना ग़ार में था
और दहाने पर फ़क़त मकड़ी का जाला था
हिरन पिंजरे में था
और उस के दरवाज़े पर जंग-आलूद ताला था
वो भूके शेर की मानिंद लपका
और उस लड़की की
नीली काँच में लिपटी कलाई पर शिकंजा कस दिया
बूढ़े ने कंधा छोड़ कर अपनी कमर पर हाथ रक्खे
अपनी आँखों को नज़र दी
और अपने पाँव पर टाँगें लगा लीं
बदन सालों की दीमक की
मुसलसल कार-फ़रमाई से ढल जाते हैं
लेकिन ग़ैरतें बूढ़ी नहीं होतीं
न जाने वो हवा का तेज़ झोंका था
या बूढ़े पाँव के हल्के तवाज़ुन की ढिलाई थी
फिर लड़के के हाथों की दराज़ी थी
कि वो बूढ़ा
बड़ी ही बेबसी के साथ नीचे गिर गया
और उस के ढलके जिस्म ने
काली सड़क के साथ टकराते ही इक आवाज़ दी
पचासी साल नीचे गिर गए थे
कभी जब ज़लज़ला आए
तो उस की झुरझुरी सी मुख़्तलिफ़ उम्रों के घर
गिरते हैं और आवाज़ देते हैं
नए सीमेंट में लिपटी नम-इमारत गिर पड़े
तो गड़-गड़ाहट फैल जाती है
प्लाज़ा मुनहदिम हो जाए तो उस के धमाके में
मुसलसल चड़चड़ाहट
साथ देती है
मगर कोई हवेली गिर पड़े
जिस के दर ओ दीवार पर
काई अंधेरा गूँध के अपनी हरी पोरों से मलती है
तो उस में सदियाँ बोलती हैं
और गुज़री साअतों की काँपती ख़ामोशियाँ आवाज़ देती हैं
जब उस ने हाथ से धरती दबा के
कोहनियों की आज़माइश की
कि शायद इस तरह वो उठ सके
तो सिर्फ़ अपने सर को गर्दन का सहारा दे सका
बालों की लम्बी एक लट
माथे पे मुतवाज़ी खुदी शिकनों में
छुप कर काँपती थी
और कुछ बालों को ताज़ा चोट रंगीं कर गई थी
तहय्युर बेबसी के साथ
आँखों की नमी में जज़्ब हो कर
आहनी चश्मे के
शीशों में लरज़ता था
खुले होंटों में दाँतों के शिगाफ़ों को
ज़बाँ पैवंद करती थी
दहन के नम किनारे
कान के बुन
सुर्ख़ रुख़्सारों के बल
चाह-ए-ज़क़न के मुँह से लटके
तह-ब-तह गर्दन के सिलवट
और उन में डोलते पानी के क़तरे
सब के सब हिलते थे
बस रफ़्तार में इक दूसरे से मुख़्तलिफ़ थे
हवेली गिर गई थी
उन्नाबी गर्द ने दीवार ओ दर गहना दिए थे
फ़सीलें सुरमई तालाब के अंदर गिरी थीं
हरम दरवाज़ा पाईं बाग़ में औंधा पड़ा था
और उस की कील में उलझा हुआ
बारीक पर्दा हिल रहा था
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Waheed Ahmad
As you were reading Pollution Shayari Shayari