apne saaye ko itna samjhaane de
mujh tak mere hisse ki dhoop aane de
ek nazar mein kai zamaane dekhe to
boodhi aankhon ki tasveer banaane de
baba duniya jeet ke main dikhla doonga
apni nazar se door to mujh ko jaane de
main bhi to is baagh ka ek parinda hoon
meri hi awaaz mein mujh ko gaane de
phir to ye ooncha hi hota jaayega
bachpan ke haathon mein chaand aa jaane de
faslen pak jaayen to khet se bichhdenge
roti aankh ko pyaar kahaan samjhaane de
अपने साए को इतना समझाने दे
मुझ तक मेरे हिस्से की धूप आने दे
एक नज़र में कई ज़माने देखे तो
बूढ़ी आँखों की तस्वीर बनाने दे
बाबा दुनिया जीत के मैं दिखला दूँगा
अपनी नज़र से दूर तो मुझ को जाने दे
मैं भी तो इस बाग़ का एक परिंदा हूँ
मेरी ही आवाज़ में मुझ को गाने दे
फिर तो ये ऊँचा ही होता जाएगा
बचपन के हाथों में चाँद आ जाने दे
फ़स्लें पक जाएँ तो खेत से बिछ्ड़ेंगी
रोती आँख को प्यार कहाँ समझाने दे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Waseem Barelvi
our suggestion based on Waseem Barelvi
As you were reading Eid Shayari Shayari