sabhi ka dhoop se bachne ko sar nahin hota
har aadmi ke muqaddar mein ghar nahin hota
kabhi lahu se bhi taarikh likhni padti hai
har ek ma'arka baaton se sar nahin hota
main us ki aankh ka aansu na ban saka warna
mujhe bhi khaak mein milne ka dar nahin hota
mujhe talash karoge to phir na paoge
main ik sada hoon sadaaon ka ghar nahin hota
hamaari aankh ke aansu ki apni duniya hai
kisi faqeer ko shahon ka dar nahin hota
main us makaan mein rehta hoon aur zinda hoon
waseem jis mein hawa ka guzar nahin hota
सभी का धूप से बचने को सर नहीं होता
हर आदमी के मुक़द्दर में घर नहीं होता
कभी लहू से भी तारीख़ लिखनी पड़ती है
हर एक मा'रका बातों से सर नहीं होता
मैं उस की आँख का आँसू न बन सका वर्ना
मुझे भी ख़ाक में मिलने का डर नहीं होता
मुझे तलाश करोगे तो फिर न पाओगे
मैं इक सदा हूँ सदाओं का घर नहीं होता
हमारी आँख के आँसू की अपनी दुनिया है
किसी फ़क़ीर को शाहों का डर नहीं होता
मैं उस मकान में रहता हूँ और ज़िंदा हूँ
'वसीम' जिस में हवा का गुज़र नहीं होता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Waseem Barelvi
our suggestion based on Waseem Barelvi
As you were reading Hawa Shayari Shayari