usoolon pe jahaan aanch aaye takraana zaroori hai | उसूलों पे जहाँ आँच आये टकराना ज़रूरी है - Waseem Barelvi

usoolon pe jahaan aanch aaye takraana zaroori hai
jo zinda hon to phir zinda nazar aana zaroori hai

nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjhaaye
kahaan se bach ke chalna hai kahaan jaana zaroori hai

thake haare parinde jab basere ke liye lautain
saleeqamand shaakhon ka lachak jaana zaroori hai

bahut bebaak aankhon mein t'alluq tik nahin paata
muhabbat mein kashish rakhne ko sharmaana zaroori hai

saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka
jo kehta hai khuda hai to nazar aana zaroori hai

mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho
ki iske baad bhi duniya mein kuch paana zaroori hai

उसूलों पे जहाँ आँच आये टकराना ज़रूरी है
जो ज़िन्दा हों तो फिर ज़िन्दा नज़र आना ज़रूरी है

नई उम्रों की ख़ुदमुख़्तारियों को कौन समझाये
कहाँ से बच के चलना है कहाँ जाना ज़रूरी है

थके हारे परिन्दे जब बसेरे के लिये लौटें
सलीक़ामन्द शाख़ों का लचक जाना ज़रूरी है

बहुत बेबाक आँखों में त'अल्लुक़ टिक नहीं पाता
मुहब्बत में कशिश रखने को शर्माना ज़रूरी है

सलीक़ा ही नहीं शायद उसे महसूस करने का
जो कहता है ख़ुदा है तो नज़र आना ज़रूरी है

मेरे होंठों पे अपनी प्यास रख दो और फिर सोचो
कि इसके बाद भी दुनिया में कुछ पाना ज़रूरी है

- Waseem Barelvi
52 Likes

Khuda Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Waseem Barelvi

As you were reading Shayari by Waseem Barelvi

Similar Writers

our suggestion based on Waseem Barelvi

Similar Moods

As you were reading Khuda Shayari Shayari