dukh apna agar ham ko bataana nahin aata
tum ko bhi to andaaza lagana nahin aata
pahuncha hai buzurgon ke bayaanon se jo ham tak
kya baat hui kyun vo zamaana nahin aata
main bhi use khone ka hunar seekh na paaya
us ko bhi mujhe chhod ke jaana nahin aata
is chhote zamaane ke bade kaise banoge
logon ko jab aapas mein ladna nahin aata
dhundhe hai to palkon pe chamakne ke bahaane
aansu ko meri aankh mein aana nahin aata
taarikh ki aankhon mein dhuaan ho gaye khud hi
tum ko to koi ghar bhi jalana nahin aata
दुख अपना अगर हम को बताना नहीं आता
तुम को भी तो अंदाज़ा लगाना नहीं आता
पहुँचा है बुज़ुर्गों के बयानों से जो हम तक
क्या बात हुई क्यूँ वो ज़माना नहीं आता
मैं भी उसे खोने का हुनर सीख न पाया
उस को भी मुझे छोड़ के जाना नहीं आता
इस छोटे ज़माने के बड़े कैसे बनोगे
लोगों को जब आपस में लड़ाना नहीं आता
ढूँढे है तो पलकों पे चमकने के बहाने
आँसू को मिरी आँख में आना नहीं आता
तारीख़ की आँखों में धुआँ हो गए ख़ुद ही
तुम को तो कोई घर भी जलाना नहीं आता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Waseem Barelvi
our suggestion based on Waseem Barelvi
As you were reading Pollution Shayari Shayari