nahin ki apna zamaana bhi to nahin aaya
hamein kisi se nibhaana bhi to nahin aaya
jala ke rakh liya haathon ke saath daaman tak
tumhein charaagh bujhaana bhi to nahin aaya
naye makaan banaaye to faaslon ki tarah
hamein ye shehar basaana bhi to nahin aaya
vo poochta tha meri aankh bheegne ka sabab
mujhe bahaana banaana bhi to nahin aaya
waseem dekhna mud mud ke vo usi ki taraf
kisi ko chhod ke jaana bhi to nahin aaya
नहीं कि अपना ज़माना भी तो नहीं आया
हमें किसी से निभाना भी तो नहीं आया
जला के रख लिया हाथों के साथ दामन तक
तुम्हें चराग़ बुझाना भी तो नहीं आया
नए मकान बनाए तो फ़ासलों की तरह
हमें ये शहर बसाना भी तो नहीं आया
वो पूछता था मिरी आँख भीगने का सबब
मुझे बहाना बनाना भी तो नहीं आया
'वसीम' देखना मुड़ मुड़ के वो उसी की तरफ़
किसी को छोड़ के जाना भी तो नहीं आया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Waseem Barelvi
our suggestion based on Waseem Barelvi
As you were reading Relationship Shayari Shayari