zara sa qatra kahi aaj agar ubharta hai
samundron hi ke lehje mein baat karta hai
khuli chhato ke diye kab ke bujh gaye hote
koi to hai jo hawaon ke par kattarta hai
sharaafaton ki yahan koi ahmiyat hi nahin
kisi ka kuchh na bigaado to kaun darta hai
ye dekhna hai ki sehra bhi hai samundar bhi
vo meri tishna-labi kis ke naam karta hai
tum aa gaye ho to kuchh chaandni si baatein hon
zameen pe chaand kahaan roz roz utarta hai
zameen ki kaisi vakaalat ho phir nahin chalti
jab aasmaan se koi faisla utarta hai
ज़रा सा क़तरा कहीं आज अगर उभरता है
समुंदरों ही के लहजे में बात करता है
खुली छतों के दिए कब के बुझ गए होते
कोई तो है जो हवाओं के पर कतरता है
शराफ़तों की यहाँ कोई अहमियत ही नहीं
किसी का कुछ न बिगाड़ो तो कौन डरता है
ये देखना है कि सहरा भी है समुंदर भी
वो मेरी तिश्ना-लबी किस के नाम करता है
तुम आ गए हो तो कुछ चाँदनी सी बातें हों
ज़मीं पे चाँद कहाँ रोज़ रोज़ उतरता है
ज़मीं की कैसी वकालत हो फिर नहीं चलती
जब आसमाँ से कोई फ़ैसला उतरता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Waseem Barelvi
our suggestion based on Waseem Barelvi
As you were reading Justice Shayari Shayari