kal hamesha ki tarah us ne kaha ye phone par | कल हमेशा की तरह उस ने कहा ये फ़ोन पर - Wasi Shah

kal hamesha ki tarah us ne kaha ye phone par
main bahut masroof hoon mujh ko bahut se kaam hain
is liye tum aao milne main to aa sakti nahin
har rivaayat tod kar is baar main ne kah diya
tum jo ho masroof to main bhi bahut masroof hoon
tum jo ho mashhoor to main bhi bahut maaroof hoon
tum agar ghamgeen ho main bhi bahut ranjoor hoon
tum thakan se choor to main bhi thakan se choor hoon
jaan-e-man hai waqt mera bhi bahut hi qeemti
kuch purane doston ne milne aana hai abhi
main bhi ab faarigh nahin mujh ko bhi laakhon kaam hain
warna kehne ko to sab lamhe tumhaare naam hain
meri aankhen bhi bahut bojhal hain sona hai mujhe
ratjagon ke ba'ad ab neendon mein khona hai mujhe
main lahu apni anaon ka baha saka nahin
tum nahin aati to milne main bhi aa saka nahin
us ko ye kah ke vasi main ne receiver rakh diya
aur phir apni ana ke paanv pe sar rakh diya

कल हमेशा की तरह उस ने कहा ये फ़ोन पर
मैं बहुत मसरूफ़ हूँ मुझ को बहुत से काम हैं
इस लिए तुम आओ मिलने मैं तो आ सकती नहीं
हर रिवायत तोड़ कर इस बार मैं ने कह दिया
तुम जो हो मसरूफ़ तो मैं भी बहुत मसरूफ़ हूँ
तुम जो हो मशहूर तो मैं भी बहुत मारूफ़ हूँ
तुम अगर ग़मगीन हो मैं भी बहुत रंजूर हूँ
तुम थकन से चूर तो मैं भी थकन से चूर हूँ
जान-ए-मन है वक़्त मेरा भी बहुत ही क़ीमती
कुछ पुराने दोस्तों ने मिलने आना है अभी
मैं भी अब फ़ारिग़ नहीं मुझ को भी लाखों काम हैं
वर्ना कहने को तो सब लम्हे तुम्हारे नाम हैं
मेरी आँखें भी बहुत बोझल हैं सोना है मुझे
रतजगों के बा'द अब नींदों में खोना है मुझे
मैं लहू अपनी अनाओं का बहा सकता नहीं
तुम नहीं आतीं तो मिलने मैं भी आ सकता नहीं
उस को ये कह के 'वसी' मैं ने रिसीवर रख दिया
और फिर अपनी अना के पाँव पे सर रख दिया

- Wasi Shah
2 Likes

Shohrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Wasi Shah

As you were reading Shayari by Wasi Shah

Similar Writers

our suggestion based on Wasi Shah

Similar Moods

As you were reading Shohrat Shayari Shayari