jitna hai faasila ye gumaan mein yaqeen mein | जितना है फ़ासिला ये गुमाँ में यक़ीन में

  - Wasif Iqbal

jitna hai faasila ye gumaan mein yaqeen mein
utna hi farq hota hai duniya mein deen mein

tafriq rang-roop mein phir kaise main karoon
milna sabhi ko jaake hai aakhir zameen mein

ehsaan kar ke jo bhi jataata hai baarha
shaamil rahega shakhs vo bhi bad-tareen mein

ghairon pe jaane raaz mera kaise khul gaya
rehta hai kuchh zaroor meri aasteen mein

taaleem ke husool pe purkhon ne ye kaha
haasil karo use mile chahe vo cheen mein

waasif talab wafa kii tu kar to diya magar
milte nahin wafa ke ye moti haseen mein

जितना है फ़ासिला ये गुमाँ में यक़ीन में
उतना ही फ़र्क़ होता है दुनिया में दीन में

तफ़रीक़ रंग-रूप में फिर कैसे मैं करूँ
मिलना सभी को जाके है आख़िर ज़मीन में

एहसान कर के जो भी जताता है बारहा
शामिल रहेगा शख़्स वो भी बद-तरीन में

ग़ैरों पे जाने राज़ मेरा कैसे खुल गया
रहता है कुछ ज़रूर मेरी आस्तीन में

तालीम के हुसूल पे पुरखों ने ये कहा
हासिल करो उसे मिले चाहे वो चीन में

वासिफ़ तलब वफ़ा की तू कर तो दिया मगर
मिलते नहीं वफ़ा के ये मोती हसीन में

  - Wasif Iqbal

More by Wasif Iqbal

As you were reading Shayari by Wasif Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Wasif Iqbal

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari