duniya ka chalan tark kiya bhi nahin jaata
is jaada-e-baatil se fira bhi nahin jaata
zindaan-e-museebat se koi nikle to kyunkar
rusva sar-e-bazaar hua bhi nahin jaata
dil baad-e-fana bhi hai giraan-baar-e-amaanat
duniya se subuk-dosh utha bhi nahin jaata
kyun aane lage shaahid-e-ismat sar-e-bazaar
kya khaak ke parde mein chhupa bhi nahin jaata
ik ma'ni-e-be-lafz hai andesha-e-farda
jaise khat-e-qismat ki padha bhi nahin jaata
दुनिया का चलन तर्क किया भी नहीं जाता
इस जादा-ए-बातिल से फिरा भी नहीं जाता
ज़िंदान-ए-मुसीबत से कोई निकले तो क्यूँकर
रुस्वा सर-ए-बाज़ार हुआ भी नहीं जाता
दिल बाद-ए-फ़ना भी है गिराँ-बार-ए-अमानत
दुनिया से सुबुक-दोश उठा भी नहीं जाता
क्यूँ आने लगे शाहिद-ए-इस्मत सर-ए-बाज़ार
क्या ख़ाक के पर्दे में छुपा भी नहीं जाता
इक मअ'नी-ए-बे-लफ़्ज़ है अंदेशा-ए-फ़र्दा
जैसे ख़त-ए-क़िस्मत कि पढ़ा भी नहीं जाता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yagana Changezi
our suggestion based on Yagana Changezi
As you were reading Dil Shayari Shayari