kaisi kaisi bastiyaan do din mein veeraan ho gaeein
dekhte hi dekhte gard-e-pareshaan ho gaeein
shaghl-e-may kab tak ye saaqi aankhen jhuk aayein bahut
raat bheegi aur zulfen bhi pareshaan ho gaeein
phirti hain aankhon mein saaqi shab ki vo kaifiyatein
dekhte hi dekhte khwaab-e-pareshaan ho gaeein
taqat-e-majnoon kuja nazzaraa-e-laili kuja
parda-e-mehmil utha aur aankhen hairaan ho gaeein
arsa-e-qaid-e-hayaat ab vahshiyon par tang hai
chaar deewaar-e-anaasir mil ke zindaan ho gaeein
raas aayi hai na aayegi zamaane ki hawa
yaas kya kya sohbaten gard-e-pareshaan ho gaeein
कैसी कैसी बस्तियाँ दो दिन में वीराँ हो गईं
देखते ही देखते गर्द-ए-परेशाँ हो गईं
शग़्ल-ए-मय कब तक ये साक़ी आँखें झुक आएँ बहुत
रात भीगी और ज़ुल्फ़ें भी परेशाँ हो गईं
फिरती हैं आँखों में साक़ी शब की वो कैफ़िय्यतें
देखते ही देखते ख़्वाब-ए-परेशाँ हो गईं
ताक़त-ए-मजनूँ कुजा नज़्ज़ारा़-ए-लैली कुजा
पर्दा-ए-महमिल उठा और आँखें हैराँ हो गईं
अर्सा-ए-क़ैद-ए-हयात अब वहशियों पर तंग है
चार दीवार-ए-अनासिर मिल के ज़िंदाँ हो गईं
रास आई है न आएगी ज़माने की हवा
'यास' क्या क्या सोहबतें गर्द-ए-परेशाँ हो गईं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yagana Changezi
our suggestion based on Yagana Changezi
As you were reading Andhera Shayari Shayari