rahe duniya mein mahkoom-e-dil-e-be-muddaa ho kar | रहे दुनिया में महकूम‌‌‌‌-ए-दिल-ए-बे-मुद्दआ हो कर

  - Yagana Changezi

rahe duniya mein mahkoom-e-dil-e-be-muddaa ho kar
khusha-anjaam utthe bhi to mahroom-e-dua ho kar

watan ko chhod kar jis sar-e-zameen ko main ne izzat di
wahi ab khoon ki pyaasi hui hai karbala ho kar

batao aise bande par hasi aaye ki ghaiz aaye
dua maange museebat mein jo qasdan mubtala ho kar

khula aakhir fareb-e-may chala jab dard ka saaghar
bandha zor-e-khumaar andesha-e-roz-e-jazaa ho kar

nigaah-e-'yaas hi goya dobara zindagi paai
jo chauka khwaab-e-ghaflat ke maze se aashna ho kar

रहे दुनिया में महकूम‌‌‌‌-ए-दिल-ए-बे-मुद्दआ हो कर
ख़ुशा-अंजाम उट्ठे भी तो महरूम-ए-दुआ हो कर

वतन को छोड़ कर जिस सर-ए-ज़मीं को मैं ने इज़्ज़त दी
वही अब ख़ून की प्यासी हुई है कर्बला हो कर

बताओ ऐसे बंदे पर हँसी आए कि ग़ैज़ आए
दुआ माँगे मुसीबत में जो क़स्दन मुब्तला हो कर

खुला आख़िर फ़रेब-ए-मय चला जब दर्द का साग़र
बँधा ज़ोर-ए-ख़ुमार अंदेशा-ए-रोज़-ए-जज़ा हो कर

निगाह-ए-'यास' ही गोया दोबारा ज़िंदगी पाई
जो चौंका ख़्वाब-ए-ग़फ़लत के मज़े से आश्ना हो कर

  - Yagana Changezi

Murder Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yagana Changezi

As you were reading Shayari by Yagana Changezi

Similar Writers

our suggestion based on Yagana Changezi

Similar Moods

As you were reading Murder Shayari Shayari