ret hamaare talve bhounti hai | रेत हमारे तलवे भौंती है

  - Yameen

ret hamaare talve bhounti hai
aur aankhen laal karti hai
jheel par kuchh nazar nahin aata
chaand hamaare khwaabon se nikal kar
sarhadon par dher ho gaya hai
kinaare par gire beej aankhen khholte hain
aur phir hamesha ke liye moond lete hain
zaafaraan ka khet is baar bhi baar aawar na hua
kaun kurede mitti
aur apna naseeb talash kare
zameen ko koi dekhta hi nahin
sab aasmaan ki taraf dekhte hain
magar ye nahin jaante
ki cheekh chinaar se unchi kyun nahin jaati
chaandni kohsaaron se fislati hai
aur barf chhato se
shangrafi silon par girte girte
koi lafz bana deti hai
koi bhi lafz
jo zabaan par aane se pehle
kahi khayal mein ugta hai
jis ke maani par koi gawaah nahin

रेत हमारे तलवे भौंती है
और आँखें लाल करती है
झील पर कुछ नज़र नहीं आता
चाँद हमारे ख़्वाबों से निकल कर
सरहदों पर ढेर हो गया है
किनारे पर गिरे बीज आँखें खोलते हैं
और फिर हमेशा के लिए मूँद लेते हैं
ज़ाफ़रान का खेत इस बार भी बार आवर न हुआ
कौन कुरेदे मिट्टी
और अपना नसीब तलाश करे
ज़मीन को कोई देखता ही नहीं
सब आसमान की तरफ़ देखते हैं
मगर ये नहीं जानते
कि चीख़ चिनार से ऊँची क्यों नहीं जाती
चाँदनी कोहसारों से फिसलती है
और बर्फ़ छतों से
शन्गरफ़ी सिलों पर गिरते गिरते
कोई लफ़्ज़ बना देती है
कोई भी लफ़्ज़
जो ज़बान पर आने से पहले
कहीं ख़याल में उगता है
जिस के मा'नी पर कोई गवाह नहीं

  - Yameen

I Miss you Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Yameen

Similar Moods

As you were reading I Miss you Shayari Shayari