tere altaaf ka lutf uthaate rahe
noor barsa kiya ham nahaate rahe
kaun tha vo khudaaya khuda ka jamaal
man hi man mein paheli bujhaate rahe
ye samajh kar faqiri hi mein hai khuda
gun hamesha faqeeron ke gaate rahe
raaz haq-aashnaa ka khula jab kabhi
baadshah tak huzoori mein aate rahe
ham ne sehra mein tanhaa jalaya diya
phir sada aandhiyon se bachaate rahe
sabr ki justuju mein phire dar-b-dar
yash gadaagar se ye faiz paate rahe
तेरे अल्ताफ़ का लुत्फ़ उठाते रहे
नूर बरसा किया हम नहाते रहे
कौन था वो ख़ुदाया ख़ुदा का जमाल
मन ही मन में पहेली बुझाते रहे
ये समझ कर फ़क़ीरी ही में है ख़ुदा
गुन हमेशा फ़क़ीरों के गाते रहे
राज़ हक़-आश्ना का खुला जब कभी
बादशह तक हुज़ूरी में आते रहे
हम ने सहरा में तन्हा जलाया दिया
फिर सदा आँधियों से बचाते रहे
सब्र की जुस्तुजू में फिरे दर-ब-दर
'यश' गदागर से ये फ़ैज़ पाते रहे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yashpal Gupta
our suggestion based on Yashpal Gupta
As you were reading Shama Shayari Shayari