yun baagh koi ham ne ujadta nahin dekha
muddat se kisi phool ka chehra nahin dekha
is shehar mein shaayad koi dil waala nahin hai
jo husn kahi banta sanwarta nahin dekha
sayyaad se gul karte rahe jaan ka sauda
maali ne lahu ka koi dariya nahin dekha
jo sukh ke ujaale mein tha parchhaaien hamaari
ab dukh ke andhere mein vo saaya nahin dekha
idraak ki sarhad pe kai baar gaya hoon
jo had se guzar jaata vo lamha nahin dekha
khuddaari-e-insaan ko amaan kaise milegi
muddat se zamaane mein maseeha nahin dekha
यूँ बाग़ कोई हम ने उजड़ता नहीं देखा
मुद्दत से किसी फूल का चेहरा नहीं देखा
इस शहर में शायद कोई दिल वाला नहीं है
जो हुस्न कहीं बनता सँवरता नहीं देखा
सय्याद से गुल करते रहे जान का सौदा
माली ने लहू का कोई दरिया नहीं देखा
जो सुख के उजाले में था परछाईं हमारी
अब दुख के अँधेरे में वो साया नहीं देखा
इदराक की सरहद पे कई बार गया हूँ
जो हद से गुज़र जाता वो लम्हा नहीं देखा
ख़ुद्दारी-ए-इंसाँ को अमाँ कैसे मिलेगी
मुद्दत से ज़माने में मसीहा नहीं देखा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yashpal Gupta
our suggestion based on Yashpal Gupta
As you were reading Gham Shayari Shayari