baarha dekha hai tu ne aasmaan ka inqilaab
khol aankh aur dekh ab hindostaan ka inqilaab
maghrib o mashriq nazar aane lage zer-o-zabar
inqilaab-e-hind hai saare jahaan ka inqilaab
kar raha hai qasr-aazaadi ki buniyaad ustuvaar
fitrat-e-tifl-o-zan-o-peer-o-jawan ka inqilaab
sabr waale chha rahe hain jabr ki aqliim par
ho gaya farsooda shamsher-o-sinaan ka inqilaab
बारहा देखा है तू ने आसमाँ का इंक़लाब
खोल आँख और देख अब हिन्दोस्ताँ का इंक़लाब
मग़रिब ओ मशरिक़ नज़र आने लगे ज़ेर-ओ-ज़बर
इंक़लाब-ए-हिन्द है सारे जहाँ का इंक़लाब
कर रहा है क़स्र-आज़ादी की बुनियाद उस्तुवार
फ़ितरत-ए-तिफ़्ल-ओ-ज़न-ओ-पीर-ओ-जवाँ का इंक़लाब
सब्र वाले छा रहे हैं जब्र की अक़्लीम पर
हो गया फ़र्सूदा शमशीर-ओ-सिनाँ का इंक़लाब
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Zafar Ali Khan
As you were reading Aasman Shayari Shayari