pahunchta hai har ik may-kash ke aage daur-e-jaam us ka | पहुँचता है हर इक मय-कश के आगे दौर-ए-जाम उस का

  - Zafar Ali Khan

pahunchta hai har ik may-kash ke aage daur-e-jaam us ka
kisi ko tishna-lab rakhta nahin hai lutf-e-aam us ka
gawaahi de rahi hai us ki yaktaai pe zaat us ki
dui ke naqsh sab jhoote hain saccha ek naam us ka
har ik zarra fazaa ka daastaan us ki sunaata hai
har ik jhonka hawa ka aa ke deta hai payaam us ka
main us ko kaaba-o-but-khaana mein kyun dhoondhne nikloon
mere toote hue dil hi ke andar hai qayaam us ka
meri uftaad ki bhi mere haq mein us ki rahmat thi
ki girte girte bhi main ne liya daaman hai thaam us ka
vo khud bhi be-nishaan hai zakham bhi hain be-nishaan us ke
diya hai is ne jo charka nahin hai iltiyaam us ka
na ja us ke tahammul par ki hai ab dhab girift us ki
dar us ki der-geeri se ki hai sakht intiqaam us ka

पहुँचता है हर इक मय-कश के आगे दौर-ए-जाम उस का
किसी को तिश्ना-लब रखता नहीं है लुत्फ़-ए-आम उस का
गवाही दे रही है उस की यकताई पे ज़ात उस की
दुई के नक़्श सब झूटे हैं सच्चा एक नाम उस का
हर इक ज़र्रा फ़ज़ा का दास्तान उस की सुनाता है
हर इक झोंका हवा का आ के देता है पयाम उस का
मैं उस को का'बा-ओ-बुत-ख़ाना में क्यूँ ढूँडने निकलूँ
मिरे टूटे हुए दिल ही के अंदर है क़याम उस का
मिरी उफ़्ताद की भी मेरे हक़ में उस की रहमत थी
कि गिरते गिरते भी मैं ने लिया दामन है थाम उस का
वो ख़ुद भी बे-निशाँ है ज़ख़्म भी हैं बे-निशाँ उस के
दिया है इस ने जो चरका नहीं है इल्तियाम उस का
न जा उस के तहम्मुल पर कि है अब ढब गिरफ़्त उस की
डर उस की देर-गीरी से कि है सख़्त इंतिक़ाम उस का

  - Zafar Ali Khan

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Zafar Ali Khan

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari