din ko bhi itna andhera hai mere kamre mein | दिन को भी इतना अंँधेरा है मिरे कमरे में

  - Zafar Gorakhpuri

din ko bhi itna andhera hai mere kamre mein
saaya aate hue darta hai mere kamre mein

gham thaka-haara musaafir hai chala jaayega
kuchh dinon ke liye thehra hai mere kamre mein

subh tak dekhna afsaana bana daalega
tujh ko ik shakhs ne dekha hai mere kamre mein

dar-b-dar din ko bhatkata hai tasavvur mera
haan magar raat ko rehta hai mere kamre mein

chor baitha hai kahaan soch raha hoon main zafar
kya koi aur bhi kamra hai mere kamre mein

दिन को भी इतना अंँधेरा है मिरे कमरे में
साया आते हुए डरता है मिरे कमरे में

ग़म थका-हारा मुसाफ़िर है चला जाएगा
कुछ दिनों के लिए ठहरा है मिरे कमरे में

सुब्ह तक देखना अफ़्साना बना डालेगा
तुझ को इक शख़्स ने देखा है मिरे कमरे में

दर-ब-दर दिन को भटकता है तसव्वुर मेरा
हाँ मगर रात को रहता है मिरे कमरे में

चोर बैठा है कहाँ सोच रहा हूँ मैं 'ज़फ़र'
क्या कोई और भी कमरा है मिरे कमरे में

  - Zafar Gorakhpuri

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Zafar Gorakhpuri

As you were reading Shayari by Zafar Gorakhpuri

Similar Writers

our suggestion based on Zafar Gorakhpuri

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari