ek din chhutti ka yun guzra
ki mujh ko dik gaye saaton tabaq
chaand ki budhiya
khalaon ki hadein
suraj ka ghar
aur kya dekha kahaan dekha bayaan karta chaloon
shehar se baahar samundar ke qareeb
ret par faila hua rangeen jawaan jismoon ka gosht
jaa-b-jaa phaile hue
bustaan raanen pindaliyaan
sharm-gahein apni kutto se chhupaaye ladkiyaan
aur jo dekha
vo aankhen dekh kar pathra gaeein
aur main
dozakh-zada jannat mein baitha rah gaya
एक दिन छुट्टी का यूँ गुज़रा
कि मुझ को दिख गए सातों तबक़
चाँद की बुढ़िया
ख़लाओं की हदें
सूरज का घर
और क्या देखा कहाँ देखा बयाँ करता चलूँ
शहर से बाहर समुंदर के क़रीब
रेत पर फैला हुआ रंगीं जवाँ जिस्मों का गोश्त
जा-ब-जा फैले हुए
बुस्तान रानें पिंडलियाँ
शर्म-गाहें अपनी कुत्तों से छुपाए लड़कियाँ
और जो देखा
वो आँखें देख कर पथरा गईं
और मैं
दोज़ख़-ज़दा जन्नत में बैठा रह गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Zafar Zaidi
our suggestion based on Zafar Zaidi
As you were reading Eid Shayari Shayari