qalam to qalam hai
ye sach ka qalam hai
jo sach hai vo kehta
yahi kaam is ka
ye sab ko dikhaata
bhalaai ka rasta
ye taarikh likkhe
jo guzri hai peeche
aur haalaat ab ke
bataata hai sacche
qalam par kisi ka
nahin zor chalta
kisi ka na dar hai
na khauf-o-khatr hai
qalam mein hai taqat
ye khole haqeeqat
sanwar pyaare baccho
iraada ye kar lo
karo ilm haasil
bano nek aaqil
aur apne qalam se
karo kaam achhe
क़लम तो क़लम है
ये सच का क़लम है
जो सच है वो कहता
यही काम इस का
ये सब को दिखाता
भलाई का रस्ता
ये तारीख़ लिक्खे
जो गुज़री है पीछे
और हालात अब के
बताता है सच्चे
क़लम पर किसी का
नहीं ज़ोर चलता
किसी का न डर है
न ख़ौफ़-ओ-ख़तर है
क़लम में है ताक़त
ये खोले हक़ीक़त
सँवर प्यारे बच्चो
इरादा ये कर लो
करो इल्म हासिल
बनो नेक आक़िल
और अपने क़लम से
करो काम अच्छे
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Zaheer Rani Banori
As you were reading Corruption Shayari Shayari