ab bas uske dil ke andar daakhil hona baaki hai
chh darwaaze chhod chuka hoon ek darwaaza baaki hai
daulat shohrat biwi bacche achha ghar aur achhe dost
kuchh to hai jo inke baad bhi haasil karna baaki hai
main barson se khol raha hoon ek aurat ki saari ko
aadhi duniya ghoom chuka hoon aadhi duniya baaki hai
kabhi-kabhi to dil karta hai chalti rail se kood padhoon
phir kehta hoon paagal ab to thoda rasta baaki hai
uski khaatir bazaaron mein bheed bhi hai aur ronak bhi
main gum hone waala hoon bas haath chhudana baaki hai
अब बस उसके दिल के अंदर दाखिल होना बाकी है
छह दरवाजे़ छोड़ चुका हूं एक दरवाज़ा बाकी है
दौलत शोहरत बीवी बच्चे अच्छा घर और अच्छे दोस्त
कुछ तो है जो इनके बाद भी हासिल करना बाक़ी है
मैं बरसों से खोल रहा हूं एक औरत की साड़ी को
आधी दुनिया घूम चुका हूं आधी दुनिया बाकी है
कभी-कभी तो दिल करता है चलती रेल से कूद पड़ूॅं
फिर कहता हूॅं पागल अब तो थोड़ा रस्ता बाक़ी है
उसकी खातिर बाजारों में भीड़ भी है और रोनक भी
मैं गुम होने वाला हूं बस हाथ छुड़ाना बाकी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Zia Mazkoor
our suggestion based on Zia Mazkoor
As you were reading Duniya Shayari Shayari