waqt hi kam tha faisley ke liye
warna main aata mashware ke liye
tum ko achhe lage to tum rakh lo
phool tode the bechne ke liye
ghanton khaamosh rahna padta hai
aap ke saath bolne ke liye
saikron kundiyaan laga raha hoon
chand button ko kholne ke liye
ek deewaar baagh se pehle
ik dupatta khule gale ke liye
tark apni falah kar di hai
aur kya ho muaashre ke liye
log aayaat padh ke sote hain
aap ke khwaab dekhne ke liye
ab main raaste mein late jaaun kya
jaane waalon ko rokne ke liye
वक़्त ही कम था फ़ैसले के लिए
वर्ना मैं आता मशवरे के लिए
तुम को अच्छे लगे तो तुम रख लो
फूल तोड़े थे बेचने के लिए
घंटों ख़ामोश रहना पड़ता है
आप के साथ बोलने के लिए
सैकड़ों कुंडियाँ लगा रहा हूँ
चंद बटनों को खोलने के लिए
एक दीवार बाग़ से पहले
इक दुपट्टा खुले गले के लिए
तर्क अपनी फ़लाह कर दी है
और क्या हो मुआशरे के लिए
लोग आयात पढ़ के सोते हैं
आप के ख़्वाब देखने के लिए
अब मैं रस्ते में लेट जाऊँ क्या
जाने वालों को रोकने के लिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Zia Mazkoor
our suggestion based on Zia Mazkoor
As you were reading Kitaaben Shayari Shayari