ye baat soch ke tere hue hain ham dono
ki tujhko le ke bahut lad chuke hain ham dono
ye sarhadein to abhi kal bani hain mere dost
hazaaron saal ikatthe rahe hain ham dono
koi to tha vo jo ab haafeze ka hissa nahin
vo baat kya thi jo bhule hue hain ham dono
tum aisi baat kisi ko nahin bataaogi
mujhe laga tha bade ho chuke hain ham dono
ikatthe sirf gali se nahin guzarne lage
kisi ke dil se guzarne lage hain ham dono
hazaaron jode gulaabon mein chip ke baithe hain
ye aur baat ki pakde gaye hain ham dono
ये बात सोच के तेरे हुए हैं हम दोनों
कि तुझको ले के बहुत लड़ चुके हैं हम दोनों
ये सरहदें तो अभी कल बनी हैं मेरे दोस्त
हज़ारों साल इकट्ठे रहे हैं हम दोनों
कोई तो था वो जो अब हाफ़िज़े का हिस्सा नहीं
वो बात क्या थी जो भूले हुए हैं हम दोनों
तुम ऐसी बात किसी को नहीं बताओगी
मुझे लगा था बड़े हो चुके हैं हम दोनों
इकट्ठे सिर्फ़ गली से नहीं गुज़रने लगे
किसी के दिल से गुज़रने लगे हैं हम दोनों
हज़ारों जोड़े गुलाबों में छिप के बैठे हैं
ये और बात कि पकड़े गए हैं हम दोनों
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Zia Mazkoor
our suggestion based on Zia Mazkoor
As you were reading Sarhad Shayari Shayari