ik zara sa toot kar mismar ho jaata hai kya | इक ज़रा सा टूट कर मिस्मार हो जाता है क्या

  - Zia Mazkoor

ik zara sa toot kar mismar ho jaata hai kya
aaine ka aaina bekar ho jaata hai kya

aaj kal mayus waapas aa rahe hain qafile
aaj kal us dar se bhi inkaar ho jaata hai kya

haath paanv maarnay se ho nahin saka agar
doob jaane se samandar paar ho jaata hai kya

aalam-e-tanhaai mein bhi uska aisa khauf hai
zehan mein hota hai kya izhaar ho jaata hai kya

haay uska is qadar maasoomiyat se poochna
ladkiyon ko ladkiyon se pyaar ho jaata hai kya

इक ज़रा सा टूट कर मिस्मार हो जाता है क्या
आईने का आईना बेकार हो जाता है क्या

आज कल मायूस वापस आ रहे हैं क़ाफ़िले
आज कल उस दर से भी इनकार हो जाता है क्या

हाथ पाँव मारने से हो नहीं सकता अगर
डूब जाने से समंदर पार हो जाता है क्या

आलम-ए-तन्हाई में भी उसका ऐसा ख़ौफ़ है
ज़ेहन में होता है क्या इज़हार हो जाता है क्या

हाय उसका इस क़दर मासूमियत से पूछना
लड़कियों को लड़कियों से प्यार हो जाता है क्या

  - Zia Mazkoor

Samundar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Zia Mazkoor

As you were reading Shayari by Zia Mazkoor

Similar Writers

our suggestion based on Zia Mazkoor

Similar Moods

As you were reading Samundar Shayari Shayari