tum ne bhi un se hi milna hota hai | तुम ने भी उन से ही मिलना होता है

  - Zia Mazkoor

tum ne bhi un se hi milna hota hai
jin logon se mera jhagda hota hai

us ke gaav ki ek nishaani ye bhi hai
har nalke ka paani meetha hota hai

main us shakhs se thoda aage chalta hoon
jis ka main ne peecha karna hota hai

bas halki si thokar maarni padti hai
har patthar ke andar chashma hota hai

tum meri duniya mein bilkul aise ho
taash mein jaise hukum ka ikka hota hai

kitne sukhe ped bacha sakte hain ham
har jungle mein lakkadhaara hota hai

तुम ने भी उन से ही मिलना होता है
जिन लोगों से मेरा झगड़ा होता है

उस के गाँव की एक निशानी ये भी है
हर नलके का पानी मीठा होता है

मैं उस शख़्स से थोड़ा आगे चलता हूँ
जिस का मैं ने पीछा करना होता है

बस हल्की सी ठोकर मारनी पड़ती है
हर पत्थर के अंदर चश्मा होता है

तुम मेरी दुनिया में बिल्कुल ऐसे हो
ताश में जैसे हुकुम का इक्का होता है

कितने सूखे पेड़ बचा सकते हैं हम
हर जंगल में लक्कड़हारा होता है

  - Zia Mazkoor

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Zia Mazkoor

As you were reading Shayari by Zia Mazkoor

Similar Writers

our suggestion based on Zia Mazkoor

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari