tumhaara rang duniya ne chhua tha tab kahaan the tum | तुम्हारा रंग दुनिया ने छुआ था तब कहां थे तुम?

  - Zubair Ali Tabish

tumhaara rang duniya ne chhua tha tab kahaan the tum
hamaara canvas khaali pada tha tab kahaan the tum

mere lashkar mein shirkat ki ijaazat maangne waalo
main parcham thaam kar tanhaa khada tha tab kahaan the tum

tumhaari dastkon par rehm aata hai mujhe lekin
ye darwaaza kai din se khula tha tab kahaan the tum

falon par haq jataane aaye ho to ye bhi batla do
main jab paudhon ko paani de raha tha tab kahaan the tum

ye bas ik rasmiya taftish hai aaraam se baitho
wafa ka khoon jis shab ko hua tha tab kahaan the tum

muaafi chahta hoon ab to bas khabron se matlab hai
main jab roomani filmen dekhta tha tab kahaan the tum

तुम्हारा रंग दुनिया ने छुआ था तब कहां थे तुम?
हमारा कैनवस ख़ाली पड़ा था तब कहां थे तुम?

मेरे लशकर में शिरकत की इजाज़त मांगने वालो!
मैं परचम थाम कर तन्हा खड़ा था तब कहां थे तुम?

तुम्हारी दस्तकों पर रहम आता है मुझे लेकिन
ये दरवाज़ा कई दिन से खुला था तब कहां थे तुम?

फलों पर हक़ जताने आए हो तो ये भी बतला दो
मैं जब पौधों को पानी दे रहा था तब कहां थे तुम?

ये बस इक रस्मिया तफ़तीश है, आराम से बैठो
वफ़ा का ख़ून जिस शब को हुआ था तब कहां थे तुम?

मुआफ़ी चाहता हूं अब तो बस ख़बरों से मतलब है
मैं जब रूमानी फ़िल्में देखता था तब कहां थे तुम?

  - Zubair Ali Tabish

Freedom Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Zubair Ali Tabish

As you were reading Shayari by Zubair Ali Tabish

Similar Writers

our suggestion based on Zubair Ali Tabish

Similar Moods

As you were reading Freedom Shayari Shayari