tumhein ik baat kahni thi | तुम्हें इक बात कहनी थी

  - Zubair Ali Tabish

tumhein ik baat kahni thi
ijaazat ho to kah doon main

ye bheega bheega sa mausam
ye titli phool aur shabnam

chamakte chaand ki baatein
ye boonden aur barsaatein

ye kaali raat ka aanchal
hawa mein naachte baadal

dhadakte mausamon ka dil
mehkati khushbuon ka dil
ye sab jitne nazaare hain
kaho kis ke ishaare hain

sabhi baatein sooni tum ne
phir aankhen fer leen tum ne

main tab ja kar kahi samjha
ki tum ne kuchh nahin samjha
main qissa mukhtasar kar ke
zara neechi nazar kar ke
ye kehta hoon abhi tum se
mohabbat ho gai tum se

तुम्हें इक बात कहनी थी
इजाज़त हो तो कह दूँ मैं

ये भीगा भीगा सा मौसम
ये तितली फूल और शबनम

चमकते चाँद की बातें
ये बूँदें और बरसातें

ये काली रात का आँचल
हवा में नाचते बादल

धड़कते मौसमों का दिल
महकती ख़ुश्बूओं का दिल
ये सब जितने नज़ारे हैं
कहो किस के इशारे हैं

सभी बातें सुनी तुम ने
फिर आँखें फेर लीं तुम ने

मैं तब जा कर कहीं समझा
कि तुम ने कुछ नहीं समझा
मैं क़िस्सा मुख़्तसर कर के
ज़रा नीची नज़र कर के
ये कहता हूँ अभी तुम से
मोहब्बत हो गई तुम से

  - Zubair Ali Tabish

Phool Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Zubair Ali Tabish

As you were reading Shayari by Zubair Ali Tabish

Similar Writers

our suggestion based on Zubair Ali Tabish

Similar Moods

As you were reading Phool Shayari Shayari