jagah nafrat bana leti hai kaise bhi muhabbat mein
bade din tak rakho to keede pad jaate hain sharbat mein
baras pehle gai thi aur baccha ik maheene ka
mera to dil laga hai aaj bhi khud ki marammat mein
khuda maana namaazi hai miyaan uska magar phir bhi
suna tha hoor milti hai ajal ke baad jannat mein
kisi ko husn ya to akl deta hai vo ujlat mein
inheen bas be-wafaon ko banata kyun hai furqat mein
haan jab angoor ko tarbooze. likh saka hai ik shaair
galat-fahmi hai logon ko likha hoga ye nafrat mein
जगह नफ़रत बना लेती है कैसे भी मुहब्बत में,
बड़े दिन तक रखो तो कीड़े पड़ जाते हैं शरबत में,
बरस पहले गई थी और बच्चा इक महीने का,
मेरा तो दिल लगा है आज भी ख़ुद की मरम्मत में,
ख़ुदा माना नमाज़ी है मियाँ उसका मगर फिर भी,
सुना था हूर मिलती है अजल के बाद जन्नत में,
किसी को हुस्न या तो अक्ल देता है वो उजलत में,
इन्हीं बस बे-वफ़ाओं को बनाता क्यों है फ़ुर्सत में,
हाँ जब अंगूर को तरबूज़ लिख सकता है इक शाइर,
ग़लत-फ़हमी है लोगों को लिखा होगा ये नफ़रत में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by 100rav
our suggestion based on 100rav
As you were reading Dil Shayari Shayari