taajdaaron ke kisi taaseer ke laayak nahin
ham kisi khairaat ki taqdeer ke laayak nahin
jaane kaise ghul gaya chehra tumhaara khoon mein
varna vo aankhon mein bhi tasveer ke laayak nahin
vo jin aawaazon ko dil mein rakh liya hai tum ne na
vo kisi bhi panne mein tahreer ke laayak nahin
dhaar is astitv ki har din nikhrati hi rahi
koi shaahi dhaal is shamsheer ke laayak nahin
ye hamaare mulk ki jannat hai tum ko kyun den ham
koi aur mitti mere kashmir ke laayak nahin
zulm ke mohre khuda bhagwaan rab se poochen ye
zulm dhaane waala kyun taazeer ke laayak nahin
ताजदारों के किसी तासीर के लायक़ नहीं
हम किसी ख़ैरात की तक़दीर के लायक़ नहीं
जाने कैसे घुल गया चेहरा तुम्हारा ख़ून में
वरना वो आँखों में भी तस्वीर के लायक़ नहीं
वो जिन आवाज़ों को दिल में रख लिया है तुम ने ना
वो किसी भी पन्ने में तहरीर के लायक़ नहीं
धार इस अस्तित्व की हर दिन निखरती ही रही
कोई शाही ढाल इस शमशीर के लायक़ नहीं
ये हमारे मुल्क की जन्नत है तुम को क्यों दें हम
कोई और मिट्टी मिरे कश्मीर के लायक़ नहीं
ज़ुल्म के मुहरे ख़ुदा, भगवान, रब से पूछें ये
ज़ुल्म ढाने वाला क्यों ताज़ीर के लायक़ नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'
our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'
As you were reading Inquilab Shayari Shayari