jo hoti thi kabhi taqat hamaari | जो होती थी कभी ताक़त हमारी

  - Aqib khan

jo hoti thi kabhi taqat hamaari
use ab kha chuki fitrat hamaari

ki dariya paar karke doob jaana
hai aise saath kuchh qismat hamaari

bina maange jo tumko mil gaye hain
tumhein hai kya pata qeemat hamaari

hamaara phool jab usne kuboola
tabhi se aa gai shaamat hamaari

wahi ik kamra tanhaai udaasi
yahi hai ab to bas daulat hamaari

suno tum raabta mat rakho hamse
suno achhi nahin niyat hamaari

jahaan hamse hi saari raunakein theen
waan na-manzoor hai shirkat hamaari

na hamko dard batlaao yun apna
hai kab ki mar gai shafqat hamaari

जो होती थी कभी ताक़त हमारी
उसे अब खा चुकी फ़ितरत हमारी

कि दरिया पार करके डूब जाना
है ऐसे साथ कुछ क़िस्मत हमारी

बिना माँगे जो तुमको मिल गए हैं
तुम्हें है क्या पता क़ीमत हमारी

हमारा फूल जब उसने कुबूला
तभी से आ गई शामत हमारी

वही इक कमरा, तन्हाई, उदासी
यही है अब तो बस दौलत हमारी

सुनो तुम राब्ता मत रक्खो हमसे
सुनो अच्छी नहीं नीयत हमारी

जहाँ हमसे ही सारी रौनकें थीं
वाँ ना-मंज़ूर है शिरकत हमारी

न हमको दर्द बतलाओ यूँ अपना
है कब की मर गई शफ़क़त हमारी

  - Aqib khan

Qismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aqib khan

As you were reading Shayari by Aqib khan

Similar Writers

our suggestion based on Aqib khan

Similar Moods

As you were reading Qismat Shayari Shayari