tumhaari yaadon ke main aas-paas baitha hoon
isiliye to safar mein udaas baitha hoon
na jaan paayenge chehre se jaanne waale
chhipaaye khud mein hi ik gham-shanaas baitha hoon
gale lagaane ka man tha ki jisko varshon se
vo milne aaya hai to bad-havaas baitha hoon
ye tarbiyat mein nahin hai so pee nahin saka
ye dosti hai ki pakde gilaas baitha hoon
ki shaahzaadi gulaamon ki to nahin hoti
mai jaanta hoon magar leke aas baitha hoon
तुम्हारी यादों के मैं आस-पास बैठा हूँ
इसीलिए तो सफ़र में उदास बैठा हूँ
न जान पाएँगे चेहरे से जानने वाले
छिपाए ख़ुद में ही इक ग़म-शनास बैठा हूँ
गले लगाने का मन था कि जिसको वर्षों से
वो मिलने आया है तो बद-हवास बैठा हूँ
ये तरबियत में नहीं है सो पी नहीं सकता
ये दोस्ती है कि पकड़े गिलास बैठा हूँ
कि शाहज़ादी गुलामों की तो नहीं होती
मै जानता हूँ मगर लेके आस बैठा हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aqib khan
our suggestion based on Aqib khan
As you were reading Dosti Shayari Shayari