pehle aata tha ab nahin aata
mere khwaabon mein rab nahin aata
kuchh kitaaben bhi haath mein pakdo
phone mein sab ka sab nahin aata
ik tumhaari hi bazm hai jismein
koii bhi be-adab nahin aata
yun to aa jaata hai vo baaz dafa
par jab aana ho tab nahin aata
use kah do vo jaldi aa jaaye
saans rukti hai jab nahin aata
aansuon se chukaayi hai qeemat
ye hunar be-sabab nahin aata
kyun amaan aaj hi dikha hai khala
yaar to roz-o-shab nahin aata
पहले आता था अब नहीं आता
मेरे ख़्वाबों में रब नहीं आता
कुछ किताबें भी हाथ में पकड़ो
फ़ोन में सब का सब नहीं आता
इक तुम्हारी ही बज़्म है जिसमें
कोई भी बे-अदब नहीं आता
यूँ तो आ जाता है वो बाज़ दफ़ा
पर जब आना हो तब नहीं आता
उसे कह दो वो जल्दी आ जाए
साँस रुकती है जब नहीं आता
आँसुओं से चुकायी है क़ीमत
ये हुनर बे-सबब नहीं आता
क्यूँ अमान आज ही दिखा है ख़ला
यार तो रोज़-ओ-शब नहीं आता
As you were reading Shayari by Amaan Pathan
our suggestion based on Amaan Pathan
As you were reading undefined Shayari