zalim duniya | ज़ालिम दुनिया - Abhijeet Anand

zalim duniya

ajeeb kashmakash hai zindagi yaaron
na jee rahe hain aur na mar rahe hain
adab ki baat jo kahte hain
wahi log beintehaa be-adab hain
mayus phir lautaa hoon us kooche se
sab log wahaan ke masroof hain
yun na koi sitam karein kisi par
maangu apna haq to khairaat dete hain
ada to us zaalim ki na poochiye
chot de ke poochte hain bhala haal kaise hain
kya yahi daur ae jahaan ka riwaayat hai
khaaknashino ko bhi khaak mein milaate hain

ज़ालिम दुनिया

अजीब कश्मकश है ज़िन्दगी यारों
ना जी रहे हैँ और ना मर रहे हैँ
अदब कि बात जो कहते हैँ
वही लोग बेइंतेहा बेअदब हैँ
मायूस फिर लौटा हूं उस कूचे से
सब लोग वहां के मसरूफ़ हैँ
यूँ ना कोई सितम करें किसी पर
मांगू अपना हक़ तो ख़ैरात देते हैँ
अदा तो उस ज़ालिम कि ना पूछिए
चोट दे के पूछते हैँ भला हाल कैसे हैँ
क्या यही दौर ए जहाँ का रीवायत है?
ख़ाकनशिनो को भी ख़ाक में मिलाते हैँ

- Abhijeet Anand
1 Like

Mehman Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Abhijeet Anand

Similar Moods

As you were reading Mehman Shayari Shayari