ho gaye saiyyaad ke sab dar mein qaid
khud parinde ho gaye pinjar mein qaid
qaaidiyon si zindagi ham jee rahe
ghar se nikle ho gaye daftar mein qaid
us khuda ne hi banaya aadmi
kar diya isne khuda patthar mein qaid
vo zamaane se bachaata phir raha
ek walid ki hai jaan dukhtar mein qaid
ik sukhanvar ka sukhun bhi khoob hai
kar diya saagar ko ik gaagar mein qaid
takht-o-taaz-o-shaan-o-shaukat maal-o-zar
sab qalander ki hain ik thokar mein qaid
tha haseen manzar so hamne yun kiya
kar liya manzar vo ik picture mein qaid
ye teri zulfen hain ya zanjeer hain
ham to inmein ho gaye pal bhar mein qaid
vo anees insaan nahin shaitaan hain
aapda karte hain jo avsar mein qaid
हो गये सैय्याद के सब डर में क़ैद
ख़ुद परिंदे हो गये पिंजर में क़ैद
क़ैदियों सी ज़िंदगी हम जी रहे
घर से निकले हो गये दफ़्तर में क़ैद
उस ख़ुदा ने ही बनाया आदमी
कर दिया इसने ख़ुदा पत्थर में क़ैद
वो ज़माने से बचाता फिर रहा
एक वालिद की है जाँ दुख़्तर में क़ैद
इक सुख़नवर का सुख़न भी ख़ूब है
कर दिया सागर को इक गागर में क़ैद
तख़्त-ओ-ताज़-ओ-शान-ओ-शौकत, माल-ओ-ज़र
सब क़लंदर की हैं इक ठोकर में क़ैद
था हसीं मंज़र सो हमने यूँ किया
कर लिया मंज़र वो इक पिक्चर में क़ैद
ये तेरी ज़ुल्फें हैं या ज़ंजीर हैं
हम तो इनमें हो गये पल भर में क़ैद
वो 'अनीस' इंसाँ नहीं शैतान हैं
आपदा करते हैं जो अवसर में क़ैद
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Anis shah anis
our suggestion based on Anis shah anis
As you were reading Sazaa Shayari Shayari