rahegi dosti kab tak faqat ye aashiqi kab tak
bhala khelegi hamse is tarah ye zindagi kab tak
bita di hamne shaamein-hijr tanhaai ko jee karke
bata bhi do rahegi dil mein ye naaraajgi kab tak
kabhi to laut kar aaye mujhe mehboob ka khat bhi
faqat karte rahenge khat mein ham hi shaayri kab tak
shajar ik kat gaya unki nazar ke saamne hi phir
khalegi in parindo ko bhala ye khaamoshi kab tak
faqat rishte nibhaane ka dikhaava karte ho kyun tum
bhala ye kaisi yaari ham rahenge ajnabi kab tak
रहेगी दोस्ती कब तक फ़क़त ये आशिक़ी कब तक
भला खेलेगी हमसे इस तरह ये जिंदगी कब तक
बिता दी हमने शामें-हिज्र तन्हाई को जी करके
बता भी दो रहेगी दिल में ये नाराजगी कब तक
कभी तो लौट कर आये मुझे महबूब का खत भी
फ़क़त करते रहेंगें खत में हम ही शाइरी कब तक
शजर इक कट गया उनकी नज़र के सामने ही फिर
खलेगी इन परिंदो को भला ये ख़ामुशी कब तक
फ़क़त रिश्ते निभाने का दिखावा करते हो क्यों तुम
भला ये कैसी यारी, हम रहेंगें अजनबी कब तक
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Omkar Bhaskar Das
our suggestion based on Omkar Bhaskar Das
As you were reading Khamoshi Shayari Shayari