yun na hamse bahaane banaya karo
baag mein roz hi aaya-jaaya karo
gar khushi zindagi me mayassar na ho
gham ki daulat se daaman sajaaya karo
dhoop ne choo ke maila kiya aapko
chaandni mein khudaara nahaaya karo
zindagi ka diya bujh na jaaye kahi
gham ke toofaan se isko bachaaya karo
raat mein jo hua bol bhi do zara
sharm se yun na nazren churaaya karo
chahte hain tumhein jhooth hi bolkar
martaba yun bhi mera badhaaya karo
koi bhi shay jahaan mein muqammil nahi
apne dil ko dharm ye bataaya karo
यूँ न हमसे बहाने बनाया करो
बाग़ में रोज़ ही आया-जाया करो
गर ख़ुशी ज़िन्दगी मे मयस्सर न हो
ग़म की दौलत से दामन सजाया करो
धूप ने छू के मैला किया आपको
चाँदनी में ख़ुदारा नहाया करो
ज़िन्दगी का दिया बुझ न जाए कहीं
ग़म के तूफ़ाँ से इसको बचाया करो
रात में जो हुआ बोल भी दो ज़रा
शर्म से यूँ न नज़रें चुराया करो
चाहते हैं तुम्हें झूठ ही बोलकर
मर्तबा यूँ भी मेरा बढ़ाया करो
कोई भी शय जहाँ में मुक़म्मिल नही
अपने दिल को धरम ये बताया करो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dharamraj deshraj
our suggestion based on Dharamraj deshraj
As you were reading Ujaala Shayari Shayari