mujhe ab yaad bhi aati nahin hai
vo dil mein mere ab yaani nahin hai
vo meri itni deewani nahin hai
so mere man ki vo raani nahin hai
zamaana ab hai ott ka yaaron
kahaani bein ab honi nahin hai
hunar chup rahne ka seekha tha jab se
tabhi se dushmani hoti nahin hai
sabhi ko hota ego chahiye bhi
kisi ki baat phir maani nahin hai
usi ki marzi se sab ho raha tha
hamaari kaamyaabi bhi nahin hai
jo ladki yaar duniya se juda ho
vo ladki haath phir aani nahin hai
मुझे अब याद भी आती नहीं है
वो दिल में मेरे अब यानी नहीं है
वो मेरी इतनी दीवानी नहीं है
सो मेरे मन की वो रानी नहीं है
ज़माना अब है ओटीटी का यारों
कहानी बैन अब होनी नहीं है
हुनर चुप रहने का सीखा था जब से
तभी से दुश्मनी होती नहीं है
सभी को होता ईगो चाहिए भी
किसी की बात फिर मानी नहीं है
उसी की मर्ज़ी से सब हो रहा था
हमारी कामयाबी भी नहीं है
जो लड़की यार दुनिया से जुदा हो
वो लड़की हाथ फिर आनी नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by "Dharam" Barot
our suggestion based on "Dharam" Barot
As you were reading Khamoshi Shayari Shayari