ana aur rishta nahin rahte do saath | अना और रिश्ता नहीं रहते दो साथ

  - "Dharam" Barot

ana aur rishta nahin rahte do saath
tumhein soch kar chhodna hoga ik haath

nahin chahiye koii bhi tark mujhko
meri aasthaa hai so hai vo mera naath

chho jism par jab use yaad karna
nahin karne hai koii bhi raat kii baat

hai kuchh log hi gaav mein khet bone
tumhein bhi hua shehar ka moh barsaat

zaroorat hai kya samjha tha der se main
mere umr ke saath badle the jazbaat

अना और रिश्ता नहीं रहते दो साथ
तुम्हें सोच कर छोड़ना होगा इक हाथ

नहीं चाहिए कोई भी तर्क मुझको
मेरी आस्था है सो है वो मेरा नाथ

छुओ जिस्म पर जब उसे याद करना
नहीं करनी है कोई भी रात की बात

है कुछ लोग ही गाँव में खेत बोने
तुम्हें भी हुआ शहर का मोह बरसात

ज़रूरत है क्या समझा था देर से मैं
मेरे उम्र के साथ बदले थे जज़्बात

  - "Dharam" Barot

Badan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by "Dharam" Barot

As you were reading Shayari by "Dharam" Barot

Similar Writers

our suggestion based on "Dharam" Barot

Similar Moods

As you were reading Badan Shayari Shayari