na jaane kyun kabhi izhaar ae ulfat kar nahin paate
tumhaare saamne aakar ye himmat kar nahin paate
zameen ko chhod ud jaane ki khwaahish to unhe bhi hai
magar kuchh baat hai jo ped hijrat kar nahin paate
khafa hain ek-dooge se magar vo jab bhi milte hain
ye sab kuchh bhool jaate hain shikaayat kar nahin paate
main unko haal ae gham apna suna deta magar raqeem
mohabbat karne waale phir mohabbat kar nahin paate
न जाने क्यूँ कभी इज़हार ए उल्फ़त कर नहीं पाते
तुम्हारे सामने आकर ये हिम्मत कर नहीं पाते
ज़मीं को छोड़ उड़ जाने कि ख़्वाहिश तो उन्हे भी है
मगर कुछ बात है जो पेड़ हिजरत कर नहीं पाते
ख़फ़ा हैं एक-दूजे से मगर वो जब भी मिलते हैं
ये सब कुछ भूल जाते हैं शिकायत कर नहीं पाते
मैं उनको हाल ए ग़म अपना सुना देता मगर, राक़िम
मोहब्बत करने वाले फिर मोहब्बत कर नहीं पाते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hasan Raqim
our suggestion based on Hasan Raqim
As you were reading Love Shayari Shayari