yun zindagi mein ab kisi se koi iltijaa nahin | यूँ ज़िंदगी में अब किसी से कोई इल्तिजा नहीं,

  - Hasan Raqim

yun zindagi mein ab kisi se koi iltijaa nahin
vo mil gaya to theek hai nahin to kuchh gila nahin

mere liye to tum bhi is jahaan ki tarah hi ho
tumhein bhi meri gham khushi ka kuchh ata pata nahin

tamaam hain bimaariyaan magar tumhein hua hai ishq
to ab tumhein zaroorat ae dua hi hai dava nahin

tere liye ye sach hai chaand tak bhi jaayega koi
agar vo main nahin bhi ban saka to kuchh bura nahin

nahin bula sakoge is dafa bhi tum to kya hua
tumhaare janmdin pe mas'ala ye kuchh naya nahin

यूँ ज़िंदगी में अब किसी से कोई इल्तिजा नहीं,
वो मिल गया तो ठीक है नहीं तो कुछ गिला नहीं

मेरे लिए तो तुम भी इस जहान की तरह ही हो,
तुम्हें भी मेरी ग़म ख़ुशी का कुछ अता पता नहीं

तमाम हैं बिमारियाँ मगर तुम्हें हुआ है इश्क़,
तो अब तुम्हें ज़रूरत ए दुआ ही है दवा नहीं

तेरे लिए ये सच है ,चाँद तक भी जाएगा कोई
अगर वो मैं नहीं भी बन सका तो कुछ बुरा नहीं

नहीं बुला सकोगे इस दफ़ा भी तुम तो क्या हुआ,
तुम्हारे जन्मदिन पे मसअला ये कुछ नया नहीं

  - Hasan Raqim

Jashn Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hasan Raqim

As you were reading Shayari by Hasan Raqim

Similar Writers

our suggestion based on Hasan Raqim

Similar Moods

As you were reading Jashn Shayari Shayari