dil se guftagoo | "दिल से गुफ़्तगू"

  - Deepandru Singh

dil se guftagoo

teri ibaadaton mein aajkal nazar aate hain
kuchh faasle to hain par thoda qareeb aate hain
ye insaan tere har ek dukh ko saath sahta hain
aaj yah dil kuchh kehta hai

teri baaton mein hi ham khoye rahte hain
shehar aapka hai aur ham aabaad hote hain
shaam ko yah aaftaab tere chaand ke noor ke saamne roz jhukta hain
aaj yah dil kuchh kehta hai

hamaari mohabbat hai jo tu be-fazool bewajah naachti rahti hai
tere milne se hamaari bhi saansen lad-khada jaati hain
door se dekh kar hi tujhpe yah dil roz marta hai
aaj yah dil kuchh kehta hai

abhi is waqt ki khaamoshi ko zara ramzaan samajh lo
phir baad mein thoda pyaar se eed manaaenge
vaise aaj kal tujhse beintehaan mohabbat karne mein achha lagta hai
aaj yah dil kuchh kehta hai

"दिल से गुफ़्तगू"

तेरी इबादतों में आजकल नज़र आते हैं,
कुछ फ़ासले तो हैं पर थोड़ा क़रीब आते हैं,
ये इंसान तेरे हर एक दुःख को साथ सहता हैं,
आज यह दिल कुछ कहता है

तेरी बातों में ही हम खोए रहते हैं,
शहर आपका है और हम आबाद होते हैं
शाम को यह आफ़ताब तेरे चाँद के नूर के सामने रोज़ झुकता हैं,
आज यह दिल कुछ कहता है

हमारी मोहब्बत है जो तू बे-फज़ूल बेवजह नाचती रहती है,
तेरे मिलने से हमारी भी साँसें लड़-खड़ा जाती हैं,
दूर से देख कर ही तुझपे यह दिल रोज़ मरता है,
आज यह दिल कुछ कहता है

अभी इस वक्त की खामोशी को ज़रा रमज़ान समझ लो,
फिर बाद में थोड़ा प्यार से ईद मनाएँगे
वैसे आज कल तुझसे बेइंतेहां मोहब्बत करने में अच्छा लगता है,
आज यह दिल कुछ कहता है

  - Deepandru Singh

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Deepandru Singh

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari